chandni se bhi jal rahe hain log
chāñdnī se bhī jal rahe haiñ log
lamha lamha pighal rahe haiñ log
jaane kyā baat hai ki maqtal se
muñh chhupā.e nikal rahe haiñ log
kaise pahchānūñ āshnāoñ ko
apnā chehra badal rahe haiñ log
māñgte haiñ qadam purānī zamīñ
kaise paanī pe chal rahe haiñ log
ham to barbād haiñ muravvat meñ
aur sab phuul phal rahe haiñ log
hai ye taslīm ham haiñ nazm-e-jadīd
mere purkhe ġhazal rahe haiñ log
hai ye 'jāved' aaj rasm-e-jahāñ
muñh se sho.ale ugal rahe haiñ log
chandni se bhi jal rahe hain log
lamha lamha pighal rahe hain log
jaane kya baat hai ki maqtal se
munh chhupae nikal rahe hain log
kaise pahchanun aashnaon ko
apna chehra badal rahe hain log
mangte hain qadam purani zamin
kaise pani pe chal rahe hain log
hum to barbaad hain murawwat mein
aur sab phul phal rahe hain log
hai ye taslim hum hain nazm-e-jadid
mere purkhe ghazal rahe hain log
hai ye 'jawed' aaj rasm-e-jahan
munh se shoale ugal rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.