chandni shab bhar Tahalti chhat pe tanha rah gai
chāñdnī shab bhar Tahaltī chhat pe tanhā rah ga.ī
pyaar kī har yād-e-rañgīñ be-sahārā ho ga.ī
josh dariyā kā banā thā qahr kashtī ke liye
bebasī meñ nā-tavāñ patvār rusvā ho ga.ī
dāstān-e-zindagī kī jab kiran ḳhāmosh thī
tab havā bhī sun ke chup saarā fasāna rah ga.ī
phuul patte jab chaman se dar-ba-dar hone lage
pur sakūñ sarsabz duniyā ban ke sahrā rah ga.ī
har galī meñ lutf kā dariyā ravāñ thā 'sāhnī'
merī ḳhvāhish aisī rut meñ phir bhī tanhā rah ga.ī
chandni shab bhar Tahalti chhat pe tanha rah gai
pyar ki har yaad-e-rangin be-sahaara ho gai
josh dariya ka bana tha qahr kashti ke liye
bebasi mein na-tawan patwar ruswa ho gai
dastan-e-zindagi ki jab kiran KHamosh thi
tab hawa bhi sun ke chup sara fasana rah gai
phul patte jab chaman se dar-ba-dar hone lage
pur sakun sarsabz duniya ban ke sahra rah gai
har gali mein lutf ka dariya rawan tha 'sahni'
meri KHwahish aisi rut mein phir bhi tanha rah gai
- Book : Shayad (Pg. 41)
- Author : Jafar Sahni
- Publication : Yawar Hussain (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.