chandni tha ki ghazal tha ki saba tha kya tha
chāñdnī thā ki ġhazal thā ki sabā thā kyā thā
maiñ ne ik baar tirā naam sunā thā kyā thā
ab ke bichhḌe haiñ to lagtā hai ki kuchh TuuT gayā
merā dil thā ki tirā ahd-e-vafā thā kyā thā
ḳhud-kushī kar ke bhī bistar se uThā huuñ zinda
maiñ ne kal raat ko jo zahr piyā thā kyā thā
tum to kahte the ḳhudā tum se ḳhafā hai 'qaisar'
Dūbte vaqt vo jo ik haath baḌhā thā kyā thā
chandni tha ki ghazal tha ki saba tha kya tha
main ne ek bar tera nam suna tha kya tha
ab ke bichhDe hain to lagta hai ki kuchh TuT gaya
mera dil tha ki tera ahd-e-wafa tha kya tha
KHud-kushi kar ke bhi bistar se uTha hun zinda
main ne kal raat ko jo zahr piya tha kya tha
tum to kahte the KHuda tum se KHafa hai 'qaisar'
Dubte waqt wo jo ek hath baDha tha kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.