chaqu se mohabbat ki ragen kaT raha hai
chāqū se mohabbat kī rageñ kaaT rahā hai
sunte haiñ ki vo ishq meñ nākām huā hai
pīchhe tire ai shoḳh-nazar husn ke paikar
ik shaḳhs nahīñ saarā zamāna hī paḌā hai
yāroñ ne mire aah kahīñ kā nahīñ chhoḌā
Thokar jo lagī mujh ko to andāza huā hai
vo haal jo añgrezoñ ne bhārat kā kiyā thā
kuchh haal vahī ishq ne ab merā kiyā hai
raste ke har ik ḳhatre se bachte hue ik din
manzil pe mirā qāfila pahuñchā to luTā hai
vo bāñjh zamīñ jis ko kisī ne nahīñ pūchhā
'jālib' ne use sīñch ke shādāb kiyā hai
chaqu se mohabbat ki ragen kaT raha hai
sunte hain ki wo ishq mein nakaam hua hai
pichhe tere ai shoKH-nazar husn ke paikar
ek shaKHs nahin sara zamana hi paDa hai
yaron ne mere aah kahin ka nahin chhoDa
Thokar jo lagi mujh ko to andaza hua hai
wo haal jo angrezon ne bhaarat ka kiya tha
kuchh haal wahi ishq ne ab mera kiya hai
raste ke har ek KHatre se bachte hue ek din
manzil pe mera qafila pahuncha to luTa hai
wo banjh zamin jis ko kisi ne nahin puchha
'jalib' ne use sinch ke shadab kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.