chaar din ki zindagi dozaKH bhi hai jannat bhi hai

chaar din ki zindagi dozaKH bhi hai jannat bhi hai
Jagdish Mehta Dard
MORE BYJagdish Mehta Dard
chaar din kī zindagī dozaḳh bhī hai jannat bhī hai
dard bhī hai ġham bhī hai rāhat bhī hai 'ishrat bhī hai
zaḳhm khā kar bhūlnā āsāñ nahīñ hotā magar
zaḳhm khā kar bhuul jaane kī hameñ 'ādat bhī hai
gāhe-gāhe zindagī kī sard rātoñ ke liye
mai kī ḳhvāhish bhī sulagte jism kī hājat bhī hai
aap ne is silsile meñ ġhaur farmāyā nahīñ
merī rusvā.ī se paidā aap kī shohrat bhī hai
kal ḳhudā mā'lūm kyā andāz ho hālāt kā
aaj tanhā.ī bhī hai mausam bhī hai fursat bhī hai
dil lagā kar jaan bhī denā mirī ḳhaslat rahī
dil lagā kar bhuul jaanā aap kī fitrat bhī hai
'dard' sāhab aap kis ġham se pareshāñ ho ga.e
zindagī meñ ġham bhī hai hasrat bhī hai aafat bhī hai
chaar din ki zindagi dozaKH bhi hai jannat bhi hai
dard bhi hai gham bhi hai rahat bhi hai 'ishrat bhi hai
zaKHm kha kar bhulna aasan nahin hota magar
zaKHm kha kar bhul jaane ki hamein 'adat bhi hai
gahe-gahe zindagi ki sard raaton ke liye
mai ki KHwahish bhi sulagte jism ki hajat bhi hai
aap ne is silsile mein ghaur farmaya nahin
meri ruswai se paida aap ki shohrat bhi hai
kal KHuda ma'lum kya andaz ho haalat ka
aaj tanhai bhi hai mausam bhi hai fursat bhi hai
dil laga kar jaan bhi dena meri KHaslat rahi
dil laga kar bhul jaana aap ki fitrat bhi hai
'dard' sahab aap kis gham se pareshan ho gae
zindagi mein gham bhi hai hasrat bhi hai aafat bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.