chaar pal bhi jo guzar jate hain man-mani ke sath
chaar pal bhī jo guzar jaate haiñ man-mānī ke saath
'umr saarī phir to kaT jaatī hai āsānī ke saath
zehniyat meñ phañs ga.ī to hogī bojhal zindagī
hai maza is kā bhī aslī sirf nādānī ke saath
koshisheñ karnā hamārā hai 'amal karte bhī haiñ
par miTī hai kab likhī tahrīr peshānī ke saath
dostī yā dushmanī bhī ho parakh kar aadmī
kījiye talvār-bāzī mat kabhī paanī ke saath
raunaqeñ aur raushnī to shahr ke haiñ choñchle
jangaloñ kī hai guzar jaatī bayābānī ke saath
ḳhair-maqdam ham dukhoñ kā bhī kiyā karte 'anā'
ham na vo jo zindagī Dhoī pareshānī ke saath
chaar pal bhi jo guzar jate hain man-mani ke sath
'umr sari phir to kaT jati hai aasani ke sath
zehniyat mein phans gai to hogi bojhal zindagi
hai maza is ka bhi asli sirf nadani ke sath
koshishen karna hamara hai 'amal karte bhi hain
par miTi hai kab likhi tahrir peshani ke sath
dosti ya dushmani bhi ho parakh kar aadmi
kijiye talwar-bazi mat kabhi pani ke sath
raunaqen aur raushni to shahr ke hain chonchle
jangalon ki hai guzar jati bayabani ke sath
KHair-maqdam hum dukhon ka bhi kiya karte 'ana'
hum na wo jo zindagi Dhoi pareshani ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.