chaar samton mein nazar rakhta hun main chaaron par
chaar samtoñ meñ nazar rakhtā huuñ maiñ chāroñ par
tiir kab lauT ke ā.eñge kamāñ-dāroñ par
sub.h uTThe to qadam ko.elā the aur ham the
niiñd meñ chalte rahe hijr ke añgāroñ par
dāstāñ meñ jahāñ ik dā.imī din hotā thā
ab vahāñ shaam utar aatī hai kirdāroñ par
naqsh-e-ibrat kā sab asbāb uThāyā ḳhud hī
ham ne ye kaam bhī chhoḌā unhīñ dīvāroñ par
sāya-dārī kī rivāyat bhī kahāñ aa pahuñchī
mauj-e-ḳhūñ chhāñv kiye rakhtī hai talvāroñ par
ab khulā ḳhvāb meñ kuchh ḳhvāb milātā thā maiñ
ḳhaak uḌātā thā maiñ sayyāroñ kī sayyāroñ par
raat ke TūTte tāroñ meñ hameñ rakhā gayā
hameñ parkhā gayā girte hue me.ayāroñ par
chaar samton mein nazar rakhta hun main chaaron par
tir kab lauT ke aaenge kaman-daron par
subh uTThe to qadam koela the aur hum the
nind mein chalte rahe hijr ke angaron par
dastan mein jahan ek daimi din hota tha
ab wahan sham utar aati hai kirdaron par
naqsh-e-ibrat ka sab asbab uThaya KHud hi
hum ne ye kaam bhi chhoDa unhin diwaron par
saya-dari ki riwayat bhi kahan aa pahunchi
mauj-e-KHun chhanw kiye rakhti hai talwaron par
ab khula KHwab mein kuchh KHwab milata tha main
KHak uData tha main sayyaron ki sayyaron par
raat ke TuTte taron mein hamein rakha gaya
hamein parkha gaya girte hue meayaron par
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 74)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.