chaar-su bazm-e-suKHan mein ye munadi ho gai
chār-sū bazm-e-suḳhan meñ ye munādī ho ga.ī
ik ġhazal kī aaj ik shā.ir se shādī ho ga.ī
jab sañvārā 'mīr' 'momin' aur 'ġhālib' ne ise
to ġhazal sinf-e-suḳhan kī shāh-zādī ho ga.ī
husn us kā munfarid hai sab hasīnoñ se judā
jo ġhazal us par kahī vo infirādī ho ga.ī
yaad us ko na karūñ to ḳhuub ghabrātā hai dil
zindagī yād-e-ġham-e-jānāñ kī aadī ho ga.ī
jab vo merī ruuh meñ dāḳhil huī maiñ jī uThā
ḳhushnumā rangīn mere dil kī vaadī ho ga.ī
ye ġhazal aamad kī hai ya.anī ḳhudā kī den hai
bas mere fan se zarā sī ye ḳharādī ho ga.ī
us kā qad merī nazar meñ ho gayā 'az.har' jī kam
jab se vo laḌkī siyāsī iqtisādī ho ga.ī
chaar-su bazm-e-suKHan mein ye munadi ho gai
ek ghazal ki aaj ek shair se shadi ho gai
jab sanwara 'mir' 'momin' aur 'ghaalib' ne ise
to ghazal sinf-e-suKHan ki shah-zadi ho gai
husn us ka munfarid hai sab hasinon se juda
jo ghazal us par kahi wo infiradi ho gai
yaad us ko na karun to KHub ghabraata hai dil
zindagi yaad-e-gham-e-jaanan ki aadi ho gai
jab wo meri ruh mein daKHil hui main ji uTha
KHushnuma rangin mere dil ki wadi ho gai
ye ghazal aamad ki hai yani KHuda ki den hai
bas mere fan se zara si ye KHaradi ho gai
us ka qad meri nazar mein ho gaya 'azhar' ji kam
jab se wo laDki siyasi iqtisadi ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.