chaar su intishaar hai kya hai
chaar sū intishār hai kyā hai
ye ḳhizāñ hai bahār hai kyā hai
sab ko mashkūk tum samajhte ho
ḳhud pe bhī e'tibār hai kyā hai
savā neze pe chāhiye sūraj
jism meñ barf-zār he kyā hai
mujh ko manzil nazar nahīñ aatī
duur tak rahguzār hai kyā hai
koī aahaT talak nahīñ hotī
mere andar mazār hai kyā hai
ek pal bhī nahīñ mirā apnā
zindagānī udhār hai kyā hai
mere hamdam zarā batā mujh ko
ye javānī ḳhumār hai kyā hai
hai jo mujh se 'asad' gurezāñ sā
maslahat kā shikār hai kyā hai
chaar su intishaar hai kya hai
ye KHizan hai bahaar hai kya hai
sab ko mashkuk tum samajhte ho
KHud pe bhi e'tibar hai kya hai
sawa neze pe chahiye suraj
jism mein barf-zar he kya hai
mujh ko manzil nazar nahin aati
dur tak rahguzar hai kya hai
koi aahaT talak nahin hoti
mere andar mazar hai kya hai
ek pal bhi nahin mera apna
zindagani udhaar hai kya hai
mere hamdam zara bata mujh ko
ye jawani KHumar hai kya hai
hai jo mujh se 'asad' gurezan sa
maslahat ka shikar hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.