Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaar-su raqs-kunan hasrat-e-mismar ke sath

Jaani Lakhnavi

chaar-su raqs-kunan hasrat-e-mismar ke sath

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    chār-sū raqs-kunāñ hasrat-e-mismār ke saath

    umr Dhal jaa.e tirī yaad dīvār ke saath

    pahle aatī hai hunar meñ kisī tāsīr

    shā.erī aatī hai phir lahja-o-guftār ke saath

    vo bhī to shahr-e-tamannā se nahīñ lauTe haiñ

    ham bhī mahfil meñ haiñ chup qalb-e-azādār ke saath

    chārāgar merī tabī.at banāte haiñ mazāq

    ye sulūk achchhā nahīñ aap ke bīmār ke saath

    ek saaya hai tire qad ke barābar koī

    chal rahā hai jo mirī hastī-e-bezār ke saath

    is liye aur kisī jalve pe āñkheñ na jamīñ

    jashn-e-bīnā.ī kareñge tire dīdār ke saath

    chaar-su raqs-kunan hasrat-e-mismar ke sath

    umr Dhal jae teri yaad ki diwar ke sath

    pahle aati hai hunar mein kisi tasir ki bu

    shaeri aati hai phir lahja-o-guftar ke sath

    wo bhi to shahr-e-tamanna se nahin lauTe hain

    hum bhi mahfil mein hain chup qalb-e-azadar ke sath

    chaaragar meri tabiat ka banate hain mazaq

    ye suluk achchha nahin aap ke bimar ke sath

    ek saya hai tere qad ke barabar koi

    chal raha hai jo meri hasti-e-bezar ke sath

    is liye aur kisi jalwe pe aankhen na jamin

    jashn-e-binai karenge tere didar ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now