chaar-su shahr mein maqtal ka saman hai ab ke
chār-sū shahr meñ maqtal kā samāñ hai ab ke
apne saa.e pe bhī qātil kā gumāñ hai ab ke
jo kabhī shahr meñ ḳhurshīd-ba-kaf bhartā thā
koī batlā.e ki vo shaḳhs kahāñ hai ab ke
kahkashāñ lafzoñ kī hoñToñ pe bikharne diije
duur tak zehn kī galiyoñ meñ dhuāñ hai ab ke
log āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb liye phirte haiñ
kuchh na hone pe bhī hone kā gumāñ hai ab ke
mere maazī ne mujhe yaad kiyā hai shāyad
ik ḳhalish hai ki qarīb-e-rag-e-jāñ hai ab ke
vaqt kyā vaqt se ummīd-e-karam kyā 'ḳhusrav'
vaqt hālāt kā ḳhud marsiyāñ-ḳhvāñ hai ab ke
chaar-su shahr mein maqtal ka saman hai ab ke
apne sae pe bhi qatil ka guman hai ab ke
jo kabhi shahr mein KHurshid-ba-kaf bharta tha
koi batlae ki wo shaKHs kahan hai ab ke
kahkashan lafzon ki honTon pe bikharne dije
dur tak zehn ki galiyon mein dhuan hai ab ke
log aankhon mein nae KHwab liye phirte hain
kuchh na hone pe bhi hone ka guman hai ab ke
mere mazi ne mujhe yaad kiya hai shayad
ek KHalish hai ki qarib-e-rag-e-jaan hai ab ke
waqt kya waqt se ummid-e-karam kya 'KHusraw'
waqt haalat ka KHud marsiyan-KHwan hai ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.