chaara-sazi mariz ki kar lo
chāra-sāzī marīz kī kar lo
mat milo sirf yaad hī kar lo
dastaḳhat phir kahāñ mileñge mire
jo bhī chāho likhā-paḌhī kar lo
ham se tark-e-vafā nahīñ hogā
aap ḳhush ho to aap hī kar lo
sastī mandī nikāl dūñgā maiñ
naam apne ye zindagī kar lo
raaz koī chhupā nahīñ dil meñ
tum jahāñ chāho raushnī kar lo
chāk-dāman bahut mileñge yahāñ
kārobār-e-rafū-garī kar lo
chaara-sazi mariz ki kar lo
mat milo sirf yaad hi kar lo
dastaKHat phir kahan milenge mere
jo bhi chaho likha-paDhi kar lo
hum se tark-e-wafa nahin hoga
aap KHush ho to aap hi kar lo
sasti mandi nikal dunga main
nam apne ye zindagi kar lo
raaz koi chhupa nahin dil mein
tum jahan chaho raushni kar lo
chaak-daman bahut milenge yahan
karobar-e-rafu-gari kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.