chaaragar ab na de dawa mujhko
chārāgar ab na de davā mujh ko
ab to darkār hai duā mujh ko
saath jab nāḳhudā ne chhoḌ diyā
yaad aayā bahut ḳhudā mujh ko
maut le legī apnī bāhoñ meñ
zindagī degī jab daġhā mujh ko
maiñ ne chalnā jise sikhāyā thā
vo batātā hai rāsta mujh ko
chaar din kī thī zindagī ye 'sirāj'
chaar din ne rulā diyā mujh ko
chaaragar ab na de dawa mujh ko
ab to darkar hai dua mujh ko
sath jab naKHuda ne chhoD diya
yaad aaya bahut KHuda mujh ko
maut le legi apni bahon mein
zindagi degi jab dagha mujh ko
main ne chalna jise sikhaya tha
wo batata hai rasta mujh ko
chaar din ki thi zindagi ye 'siraj'
chaar din ne rula diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.