chaaragar ne khel ulTa kar diya
chārāgar ne khel ulTā kar diyā
ik purānā zaḳhm gahrā kar diyā
us ne bhī pūchhā nahīñ phir kyā huā
muḳhtasar ham ne bhī qissa kar diyā
zahr se labrez is māhaul ne
āñ.suoñ kā rang niilā kar diyā
ab hameñ rone kī āzādī milī
qahqahoñ ne kaam aadhā kar diyā
aa.ine meñ bhī nazar aatā hai tū
kyā mujhe bhī apne jaisā kar diyā
dekh murshid ne tire bīmār ko
qul huvallah paḌh ke achchhā kar diyā
kyā ġhazab kī hai tirī kūza-garī
kaise kaisoñ ko hī kaisā kar diyā
jis kī lau se jal gayā merā makāñ
us diye ne to añdherā kar diyā
maiñ to ek insān huuñ majbūr huuñ
tū ḳhudā hai tū ne ye kyā kar diyā
chaaragar ne khel ulTa kar diya
ek purana zaKHm gahra kar diya
us ne bhi puchha nahin phir kya hua
muKHtasar hum ne bhi qissa kar diya
zahr se labrez is mahaul ne
aansuon ka rang nila kar diya
ab hamein rone ki aazadi mili
qahqahon ne kaam aadha kar diya
aaine mein bhi nazar aata hai tu
kya mujhe bhi apne jaisa kar diya
dekh murshid ne tere bimar ko
qul huwallah paDh ke achchha kar diya
kya ghazab ki hai teri kuza-gari
kaise kaison ko hi kaisa kar diya
jis ki lau se jal gaya mera makan
us diye ne to andhera kar diya
main to ek insan hun majbur hun
tu KHuda hai tu ne ye kya kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.