Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaaragar chup hain kyun ilaj karen

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

chaaragar chup hain kyun ilaj karen

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    chāragar chup haiñ kyuuñ 'ilāj kareñ

    kuchh to apne kiye laaj kareñ

    un se kis ne kahā thā vo mujh ko

    fard-e-hastī meñ indirāj kareñ

    roz khaTkā dil meñ rahtā hai

    dekhiye kyā vo hukm aaj kareñ

    fursat-e-zīst kam kaam bahut

    kal jo karnā hai ham ko aaj kareñ

    chāragar bhī na kyā kareñge yaad

    kar sakeñ jis qadar 'ilāj kareñ

    sab usī kah rahe haiñ 'azīz'

    kis se ham arz-e-ehtiyāj kareñ

    chaaragar chup hain kyun 'ilaj karen

    kuchh to apne kiye ki laj karen

    un se kis ne kaha tha wo mujh ko

    fard-e-hasti mein indiraj karen

    roz khaTka sa dil mein rahta hai

    dekhiye kya wo hukm aaj karen

    fursat-e-zist kam hi kaam bahut

    kal jo karna hai hum ko aaj karen

    chaaragar bhi na kya karenge yaad

    kar saken jis qadar 'ilaj karen

    sab usi ki si kah rahe hain 'aziz'

    kis se hum arz-e-ehtiyaj karen

    Source :
    • Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now