chaaron atraf yagana main hun
chāroñ atrāf yagāna maiñ huuñ
jise dekhā yahī jaanā maiñ huuñ
mujh se milne ko chale aate haiñ
log kahte haiñ zamāna maiñ huuñ
tum mujhe sochte rahte ho bahut
is kā matlab hai fasāna maiñ huuñ
mujhe vahshat se koī ḳhauf nahīñ
dasht kī samt ravāna maiñ huuñ
use kahnā ki chalā aa.e yahāñ
us ko jākar ye batānā maiñ huuñ
Darnā bantā hī nahīñ us kā 'suhaib'
apnī hairat kā nishāna maiñ huuñ
chaaron atraf yagana main hun
jise dekha yahi jaana main hun
mujh se milne ko chale aate hain
log kahte hain zamana main hun
tum mujhe sochte rahte ho bahut
is ka matlab hai fasana main hun
mujhe wahshat se koi KHauf nahin
dasht ki samt rawana main hun
use kahna ki chala aae yahan
us ko jakar ye batana main hun
Darna banta hi nahin us ka 'suhaib'
apni hairat ka nishana main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.