chaaron or andhera nikla
chāroñ or añdherā niklā
jaane kahāñ saverā niklā
soch kī tah meñ soch thī shāmil
har ghere meñ gherā niklā
us ke dil meñ apnā kyā thā
kuchh terā kuchh merā niklā
gaañv se ik nāgin niklī
shahr se ek saperā niklā
jo bhī aaya phir nahīñ lauTā
dil bhī kaisā Derā niklā
apnā 'rafī.a' is shahr meñ jaanā
jogī vaalā pherā niklā
chaaron or andhera nikla
jaane kahan sawera nikla
soch ki tah mein soch thi shamil
har ghere mein ghera nikla
us ke dil mein apna kya tha
kuchh tera kuchh mera nikla
ganw se ek nagin nikli
shahr se ek sapera nikla
jo bhi aaya phir nahin lauTa
dil bhi kaisa Dera nikla
apna 'rafia' is shahr mein jaana
jogi wala phera nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.