chaaron or hisar banao
chāroñ or hisār banāo
har dar par dīvār banāo
ḳhāk-nashīñ hone kī ḳhātir
sochoñ meñ ghar-bār banāo
dil kī dil meñ kab tak rakkheñ
koī sharīk-e-kār banāo
vaqt hai paanī jism hai kashtī
baazū tum patvār banāo
dard meñ had se guzro 'sadaf' tum
dost bhī dushman-dār banāo
chaaron or hisar banao
har dar par diwar banao
KHak-nashin hone ki KHatir
sochon mein ghar-bar banao
dil ki dil mein kab tak rakkhen
koi sharik-e-kar banao
waqt hai pani jism hai kashti
bazu tum patwar banao
dard mein had se guzro 'sadaf' tum
dost bhi dushman-dar banao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.