chaDha hua hai jo suraj wo Dhal bhi sakta hai
chaDha hua hai jo suraj wo Dhal bhi sakta hai
Zafar Mahmood zafar
MORE BYZafar Mahmood zafar
chaḌhā huā hai jo sūraj vo Dhal bhī saktā hai
havā-e-vaqt kā ruḳh to badal bhī saktā hai
ḳhamosh lab hai jo dariyā to ḳhair hai sab kī
bigaḌ gayā to vo bastī nigal bhī saktā hai
chalo ai tishna-labo ham uThā.eñ dast-e-duā
ki āsmān duā se pighal bhī saktā hai
manāo jashn mukammal bahār aane par
abhī nayā sā hai mausam badal bhī saktā hai
vo phuul jaisā badan chāñdnī se hai Dartā
ki chāñdnī meñ badan us kā jal bhī saktā hai
tumheñ to shauq hai phūloñ ke saath rahne kā
hamārā azm jo kāñToñ pe chal bhī saktā hai
hai āsmāñ kī bulandī meñ ghar 'zafar' jis kā
zamīñ kī had se vo bāhar nikal bhī saktā hai
chaDha hua hai jo suraj wo Dhal bhi sakta hai
hawa-e-waqt ka ruKH to badal bhi sakta hai
KHamosh lab hai jo dariya to KHair hai sab ki
bigaD gaya to wo basti nigal bhi sakta hai
chalo ai tishna-labo hum uThaen dast-e-dua
ki aasman dua se pighal bhi sakta hai
manao jashn mukammal bahaar aane par
abhi naya sa hai mausam badal bhi sakta hai
wo phul jaisa badan chandni se hai Darta
ki chandni mein badan us ka jal bhi sakta hai
tumhein to shauq hai phulon ke sath rahne ka
hamara azm jo kanTon pe chal bhi sakta hai
hai aasman ki bulandi mein ghar 'zafar' jis ka
zamin ki had se wo bahar nikal bhi sakta hai
- Book : خموش لب (Pg. 76)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.