chaDha ke chaak pe jo chahe wo bana mujhko
chaDha ke chaak pe jo chahe wo bana mujhko
Kausar Parveen Kausar
MORE BYKausar Parveen Kausar
chaḌhā ke chaak pe jo chāhe vo banā mujh ko
ai kūza-gar na banā vaqt kā ḳhudā mujh ko
na aa.ī raas tire husn kī fazā mujh ko
tamām 'umr milī 'ishq kī sazā mujh ko
usūl-e-‘ishq kī pāband thī zabāñ merī
hazār baar kahā tū ne bevafā mujh ko
faroġh detā hai vo dam-ba-dam junūñ ko mire
jahāñ ye detā nahīñ hosh kī davā mujh ko
kaThin safar meñ ye āsāniyāñ huiiñ kaise
shikasta dil koī detā hai kyā du'ā mujh ko
bachā sako to bachā lo tum apnā sar 'kausar'
junūn-e-shauq meñ har karb hai ravā mujh ko
chaDha ke chaak pe jo chahe wo bana mujh ko
ai kuza-gar na bana waqt ka KHuda mujh ko
na aai ras tere husn ki faza mujh ko
tamam 'umr mili 'ishq ki saza mujh ko
usul-e-‘ishq ki paband thi zaban meri
hazar bar kaha tu ne bewafa mujh ko
farogh deta hai wo dam-ba-dam junun ko mere
jahan ye deta nahin hosh ki dawa mujh ko
kaThin safar mein ye aasaniyan huin kaise
shikasta dil koi deta hai kya du'a mujh ko
bacha sako to bacha lo tum apna sar 'kausar'
junun-e-shauq mein har karb hai rawa mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.