chaDhe parwan chahe ishq ya na-kaam ho jae
chaḌhe parvān chāhe 'ishq yā nā-kām ho jaa.e
tumhāre chāhne vāloñ meñ apnā naam ho jaa.e
baḌā kohrām barpā hai hamāre ḳhāna-e-dil meñ
zarā tum muskurā do to hameñ ārām ho jaa.e
naqāb-e-ruḳh ulaT do tum to jaise din nikal aa.e
agar zulfoñ ko bikhrā do sunahrī shaam ho jaa.e
zabāñ ko kis liye goyā.ī kī taklīf deñ yaaro
agar āñkhoñ hī āñkhoñ meñ hamārā kaam ho jaa.e
raqīboñ kī samā'at ho rahī hai terī mahfil meñ
zarā sī baat ham kah deñ abhī kohrām ho jaa.e
na kuchh kahiye na kuchh suniye hamāre sāmne rahiye
kahīñ aisā na ho is zindagī kī shaam ho jaa.e
ḳhamoshī aisī chhā.ī hai hamāre suune āñgan meñ
kisī muflis ke ghar meñ jis tarah se shaam ho jaa.e
agar 'fārūq' tum ko munfarid rahnā hai duniyā meñ
vo rasta tark hī kar do jo rasta 'aam ho jaa.e
havas koī nahīñ 'fārūq' lekin chāhtā huuñ maiñ
ba-nām-e-shā'irī merā bhī thoḌā naam ho jaa.e
chaDhe parwan chahe 'ishq ya na-kaam ho jae
tumhaare chahne walon mein apna nam ho jae
baDa kohram barpa hai hamare KHana-e-dil mein
zara tum muskura do to hamein aaram ho jae
naqab-e-ruKH ulaT do tum to jaise din nikal aae
agar zulfon ko bikhra do sunahri sham ho jae
zaban ko kis liye goyai ki taklif den yaro
agar aankhon hi aankhon mein hamara kaam ho jae
raqibon ki sama'at ho rahi hai teri mahfil mein
zara si baat hum kah den abhi kohram ho jae
na kuchh kahiye na kuchh suniye hamare samne rahiye
kahin aisa na ho is zindagi ki sham ho jae
KHamoshi aisi chhai hai hamare sune aangan mein
kisi muflis ke ghar mein jis tarah se sham ho jae
agar 'faruq' tum ko munfarid rahna hai duniya mein
wo rasta tark hi kar do jo rasta 'am ho jae
hawas koi nahin 'faruq' lekin chahta hun main
ba-nam-e-sha'iri mera bhi thoDa nam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.