Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaDhta dariya utar gaya main bhi

Ayaz Rasool Nazki

chaDhta dariya utar gaya main bhi

Ayaz Rasool Nazki

MORE BYAyaz Rasool Nazki

    chaḌhtā dariyā utar gayā maiñ bhī

    sar se paanī guzar gayā maiñ bhī

    raat to fasīl ūñchī thī

    paar kaise utar gayā maiñ bhī

    is meñ bhī to TuuT phuuT gayā

    reza reza bikhar gayā maiñ bhī

    pāñch bajte lauT aatā huuñ

    ab ke shāyad sudhar gayā maiñ bhī

    us chaurāhe pe bhiiḌ itnī thī

    na aayā to ghar gayā maiñ bhī

    ne dekhā mujhe to ghabrāyā

    apne saa.e se Dar gayā maiñ bhī

    din meñ sābit thā aur sālim bhī

    shaam hote bikhar gayā maiñ bhī

    chaDhta dariya utar gaya main bhi

    sar se pani guzar gaya main bhi

    raat ki to fasil unchi thi

    par kaise utar gaya main bhi

    is mein tu bhi to TuT phuT gaya

    reza reza bikhar gaya main bhi

    panch bajte hi lauT aata hun

    ab ke shayad sudhar gaya main bhi

    us chaurahe pe bhiD itni thi

    tu na aaya to ghar gaya main bhi

    tu ne dekha mujhe to ghabraya

    apne sae se Dar gaya main bhi

    din mein sabit tha aur salim bhi

    sham hote bikhar gaya main bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now