chahaar samt mile ku-ba-ku dikhai de
chahār samt mile kū-ba-kū dikhā.ī de
maiñ ek nazm kahūñ jis meñ tū dikhā.ī de
vo sāmne ho to sairāb is tarah se ho
ki chashm diid meñ bhartā subū dikhā.ī de
ḳhayāl-e-vasl se zarḳhez ho zamīn-e-dil
to phir ġhazal meñ tirī guftugū dikhā.ī de
ye mo.ajizāt tire vasl se nasīb hue
tujhe jo sochūñ to tū rū-ba-rū dikhā.ī de
tere ḳhayāl kī ḳhushbū se ham kahāñ pahuñche
ye naqsh-e-pā kī sabhī justujū dikhā.ī de
kise zamīn-o-zamāñ kī talab rahegī bhalā
jo ishq sajde meñ ho qibla-rū dikhā.ī de
suḳhan-shanās ne baḳhshā hai vo junūn-e-talab
'husain' ramz-e-sahar chār-sū dikhā.ī de
chahaar samt mile ku-ba-ku dikhai de
main ek nazm kahun jis mein tu dikhai de
wo samne ho to sairab is tarah se ho
ki chashm did mein bharta subu dikhai de
KHayal-e-wasl se zarKHez ho zamin-e-dil
to phir ghazal mein teri guftugu dikhai de
ye moajizat tere wasl se nasib hue
tujhe jo sochun to tu ru-ba-ru dikhai de
tere KHayal ki KHushbu se hum kahan pahunche
ye naqsh-e-pa ki sabhi justuju dikhai de
kise zamin-o-zaman ki talab rahegi bhala
jo ishq sajde mein ho qibla-ru dikhai de
suKHan-shanas ne baKHsha hai wo junun-e-talab
'husain' ramz-e-sahar chaar-su dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.