chahaar samt se kal tak jo ghar damakta tha
chahār samt se kal tak jo ghar damaktā thā
ham aaj sair ko nikle to bas ḳharāba thā
na jaane kis liye āñkheñ dikhā.īñ sūraj ne
hamārī ā.ankhoñ ne bas ḳhvāb hī to māñgā thā
daraḳht gahre tanaffus meñ haiñ larazte haiñ
savār abr liye bijliyoñ kā koḌā thā
hamāre haath meñ TuuTā huā hai ā.īna
sarāpā thā to bhalā kaisā vo sarāpā thā
uThā.e phirte the shānoñ pe aap apnī laash
vo log kaun the kyā jurm un kā Thahrā thā
chahaar samt se kal tak jo ghar damakta tha
hum aaj sair ko nikle to bas KHaraba tha
na jaane kis liye aankhen dikhain suraj ne
hamari aaankhon ne bas KHwab hi to manga tha
daraKHt gahre tanaffus mein hain larazte hain
sawar abr liye bijliyon ka koDa tha
hamare hath mein TuTa hua hai aaina
sarapa tha to bhala kaisa wo sarapa tha
uThae phirte the shanon pe aap apni lash
wo log kaun the kya jurm un ka Thahra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.