chahchahati bolti aankhon ka uncha shor hai
chahchahātī boltī āñkhoñ kā ūñchā shor hai
shaam ke dhuñdle shajar par kitnā achchhā shor hai
āshnā.ī kā safar thā aur kitnī ḳhāmushī
vāpsī kā rāsta hai aur kitnā shor hai
zaat kī tanhā.ī meñ koī nahīñ hotā sharīk
band haiñ gaaḌī ke shīshe andar apnā shor hai
duur ke dālān se aatī sadāoñ kī mahak
aur ubalte chā.valoñ kā dhīmā dhīmā shor hai
vo hai ḳhālī ghar kī sūrat meñ bharā bāzār huuñ
us ke jaisī ḳhāmushī hai mere jaisā shor hai
shahr se behtar to vīrāne kā sannāTā hī thā
kaisī kaisī boliyāñ haiñ kaisā kaisā shor hai
ḳhatm kar Dālegā ik pal meñ sukūt-e-be-dilī
khel ke maidān se aayā hai zinda shor hai
raat ke pichhle pahar kā be-sadā jangal samajh
merī ḳhāmoshī ke andar be-tahāshā shor hai
is taraf aatā nahīñ koī ki us se pūchh luuñ
āsmāñ ke paar se uThtā ye kaisā shor hai
kaan meñ kohrām dil meñ khaultī āvāz kā
log lab-basta haiñ chehroñ se ubaltā shor hai
hāo-hū fariyād chīḳheñ nāla-e-dil-dād-gāñ
jhuuT haiñ saare dilāse aur sachchā shor hai
chahchahati bolti aankhon ka uncha shor hai
sham ke dhundle shajar par kitna achchha shor hai
aashnai ka safar tha aur kitni KHamushi
wapsi ka rasta hai aur kitna shor hai
zat ki tanhai mein koi nahin hota sharik
band hain gaDi ke shishe andar apna shor hai
dur ke dalan se aati sadaon ki mahak
aur ubalte chawalon ka dhima dhima shor hai
wo hai KHali ghar ki surat mein bhara bazar hun
us ke jaisi KHamushi hai mere jaisa shor hai
shahr se behtar to virane ka sannaTa hi tha
kaisi kaisi boliyan hain kaisa kaisa shor hai
KHatm kar Dalega ek pal mein sukut-e-be-dili
khel ke maidan se aaya hai zinda shor hai
raat ke pichhle pahar ka be-sada jangal samajh
meri KHamoshi ke andar be-tahasha shor hai
is taraf aata nahin koi ki us se puchh lun
aasman ke par se uThta ye kaisa shor hai
kan mein kohram dil mein khaulti aawaz ka
log lab-basta hain chehron se ubalta shor hai
hao-hu fariyaad chiKHen nala-e-dil-dad-gan
jhuT hain sare dilase aur sachcha shor hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.