chain milta kahan hai satae baghair
chain miltā kahāñ hai satā.e baġhair
baaz aate nahīñ vo rulā.e baġhair
tīrgī kab miTī hai miTā.e baġhair
raushnī kab huī dil jalā.e baġhair
ek vā'da vafā na kiyā aap ne
ḳhvāb meñ roz aa.e bulā.e baġhair
denī paḌtī hai qurbāniyāñ har qadam
rishte nibhte nahīñ haiñ nibhā.e baġhair
tum bulāoge to sar ke bal ā.eñge
ghar ḳhudā ke na jaa.eñ bulā.e baġhair
is tarah guftugū un kī āñkhoñ ne kī
lafz hī mar ga.e kuchh batā.e baġhair
sāniha na kaheñ to kaheñ kyā 'asar'
chal diye zindagī se batā.e baġhair
chain milta kahan hai satae baghair
baz aate nahin wo rulae baghair
tirgi kab miTi hai miTae baghair
raushni kab hui dil jalae baghair
ek wa'da wafa na kiya aap ne
KHwab mein roz aae bulae baghair
deni paDti hai qurbaniyan har qadam
rishte nibhte nahin hain nibhae baghair
tum bulaoge to sar ke bal aaenge
ghar KHuda ke na jaen bulae baghair
is tarah guftugu un ki aankhon ne ki
lafz hi mar gae kuchh batae baghair
saniha na kahen to kahen kya 'asar'
chal diye zindagi se batae baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.