chain se kaTti thi kuchh gham se sarokar na tha
chain se kaTtī thī kuchh ġham se sarokār na thā
vo bhī kyā din the ki jab ishq kā āzār na thā
be-sabab aur ye ilzām lagā.eñ kaise
qābil-e-rahm hamārā hī dil-e-zār na thā
ishq karte hī hue apne parā.e dushman
baat karne kā koī mujh se ravādār na thā
terī is zid ne mohabbat meñ mujhe meT diyā
shaġhl achchhā ye tirā dīda-e-ḳhūñ-bār na thā
be-vafā dil ke ye bartāv na bhūleñge kabhī
goyā ham se kabhī kuchh us ko sarokār na thā
de duā mujh ko shab-e-ġham tujhe mehmān kiyā
koī duniyā meñ tirā aur talabgār na thā
ham se jab tak kī rahī rasm-e-mohabbat qaa.em
is tarah aap kā charchā sar-e-bāzār na thā
qais ke baad junūñ kī mujhe jāgīr milī
dūsrā aur koī dasht kā haqdār na thā
ḳhatm qissa karo insāf se itnā kah do
ham se va.ada na thā ham se koī iqrār na thā
ham ko shikva nahīñ kuchh un se jafā kā aslan
asl ye hai ki hameñ ishq sazā-vār na thā
ab rasā.ī bhī to us bazm meñ āsān nahīñ
pahle aisā to kabhī majma-e-aġhyār na thā
saḳhtiyāñ jhelnā farhād bahut mushkil thā
jaan denā to rah-e-ishq meñ dushvār na thā
vā.izo koī sabab us kā batā sakte ho
mustahiq ḳhuld kā kyoñ rind-e-qadah-ḳhvār na thā
ye bhī ik chheḌ thī jo pūchh liyā mujh se mizāj
mudda.ā aap kā kuchh pursish-e-bīmār na thā
ham kahāñ ḳhvāhish-e-jannat meñ bhaTakte phirte
jī ke bahlāne ko kyā kūcha-e-dildār na thā
pūchhte bhī vo agar mujh se na kahte bantā
mudda.ā aisā thā jo qābil-e-iz.hār na thā
maiñ bhī kuchh arz karūñ aap jo nārāz na hoñ
paas va.ade kā kabhī aap ko sarkār na thā
sham.a par ho gayā kis shauq se parvāna nisār
kaam himmat ke liye koī bhī dushvār na thā
nazr-e-dil kar diyā aur jaan bhī sadqe kar dī
phir bhī maiñ aap ke nazdīk vafādār na thā
is tarah suntā huuñ gulshan kī qafas meñ bāteñ
jaise dekhā kabhī maiñ ne gul-o-gulzār na thā
jhelnā paḌ ga.e ulfat meñ masā.ib aise
jin se vāqif na thā pahle se ḳhabar-dār na thā
apne begāne kī taḳhsīs na thī kuchh 'ishrat'
kaun thā ishq meñ jo darpai-e-āzār na thā
chain se kaTti thi kuchh gham se sarokar na tha
wo bhi kya din the ki jab ishq ka aazar na tha
be-sabab aur ye ilzam lagaen kaise
qabil-e-rahm hamara hi dil-e-zar na tha
ishq karte hi hue apne parae dushman
baat karne ka koi mujh se rawadar na tha
teri is zid ne mohabbat mein mujhe meT diya
shaghl achchha ye tera dida-e-KHun-bar na tha
be-wafa dil ke ye bartaw na bhulenge kabhi
goya hum se kabhi kuchh us ko sarokar na tha
de dua mujh ko shab-e-gham tujhe mehman kiya
koi duniya mein tera aur talabgar na tha
hum se jab tak ki rahi rasm-e-mohabbat qaem
is tarah aap ka charcha sar-e-bazar na tha
qais ke baad junun ki mujhe jagir mili
dusra aur koi dasht ka haqdar na tha
KHatm qissa karo insaf se itna kah do
hum se wada na tha hum se koi iqrar na tha
hum ko shikwa nahin kuchh un se jafa ka aslan
asl ye hai ki hamein ishq saza-war na tha
ab rasai bhi to us bazm mein aasan nahin
pahle aisa to kabhi majma-e-aghyar na tha
saKHtiyan jhelna farhad bahut mushkil tha
jaan dena to rah-e-ishq mein dushwar na tha
waizo koi sabab us ka bata sakte ho
mustahiq KHuld ka kyon rind-e-qadah-KHwar na tha
ye bhi ek chheD thi jo puchh liya mujh se mizaj
muddaa aap ka kuchh pursish-e-bimar na tha
hum kahan KHwahish-e-jannat mein bhaTakte phirte
ji ke bahlane ko kya kucha-e-dildar na tha
puchhte bhi wo agar mujh se na kahte banta
muddaa aisa tha jo qabil-e-izhaar na tha
main bhi kuchh arz karun aap jo naraaz na hon
pas wade ka kabhi aap ko sarkar na tha
shama par ho gaya kis shauq se parwana nisar
kaam himmat ke liye koi bhi dushwar na tha
nazr-e-dil kar diya aur jaan bhi sadqe kar di
phir bhi main aap ke nazdik wafadar na tha
is tarah sunta hun gulshan ki qafas mein baaten
jaise dekha kabhi main ne gul-o-gulzar na tha
jhelna paD gae ulfat mein masaib aise
jin se waqif na tha pahle se KHabar-dar na tha
apne begane ki taKHsis na thi kuchh 'ishrat'
kaun tha ishq mein jo darpai-e-azar na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.