chakhi na jis ne kabhi lazzat-e-sinan-e-nigah
chakhi na jis ne kabhi lazzat-e-sinan-e-nigah
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
chakhī na jis ne kabhī lazzat-e-sinān-e-nigāh
maza de phir use kyā teġh-e-ḳhūñ-chakān-e-nigāh
jis anjuman meñ ki paḌtā na thā gumān-e-nigāh
paḌā hai TuuT dam-e-raqs āsmān-e-nigāh
balā se us se hī roz-e-siyah kā haal kahūñ
ki mīl-e-surma hai is ke mizāj dān-e-nigāh
dhanak se surme kī chilla hai tā ba-gosha-e-chashm
koī hai said jo phir zah huī kamān-e-nigāh
barī hai vājib o mumkin kī qaid se vo husn
na darmiyāna-e-mardum na darmyān-e-nigāh
huā thā mastī kī majlis meñ shab guzar apnā
kiyā nazāra-e-mahviyyat-e-jahān-e-nigāh
vo āsmāñ kī taraf dekhe gar uThā kar aañkh
gire zamīn pe iisā bhī khā sinān-e-nigāh
na taab nūr-e-tajallī kī lā sakā muusā
faroġh-e-husn huā bā.is-e-ziyān-e-nigāh
chakhi na jis ne kabhi lazzat-e-sinan-e-nigah
maza de phir use kya tegh-e-KHun-chakan-e-nigah
jis anjuman mein ki paDta na tha guman-e-nigah
paDa hai TuT dam-e-raqs aasman-e-nigah
bala se us se hi roz-e-siyah ka haal kahun
ki mil-e-surma hai is ke mizaj dan-e-nigah
dhanak se surme ki chilla hai ta ba-gosha-e-chashm
koi hai said jo phir zah hui kaman-e-nigah
bari hai wajib o mumkin ki qaid se wo husn
na darmiyana-e-mardum na darmyan-e-nigah
hua tha masti ki majlis mein shab guzar apna
kiya nazara-e-mahwiyyat-e-jahan-e-nigah
wo aasman ki taraf dekhe gar uTha kar aankh
gire zamin pe isa bhi kha sinan-e-nigah
na tab nur-e-tajalli ki la saka musa
farogh-e-husn hua bais-e-ziyan-e-nigah
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 269)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.