chakkar sa chal raha hai zamin-o-zaman ke bich
chakkar sa chal raha hai zamin-o-zaman ke bich
Mohammad Arshad Azmi
MORE BYMohammad Arshad Azmi
chakkar sā chal rahā hai zamīn-o-zamāñ ke biich
insān jī rahā hai yaqīn-o-gumāñ ke biich
kyā jaane kyā ho rang shurūa-o-aḳhīr kā
aatā hai merā naam tirī dāstāñ ke biich
yuñhī mirā vajūd hai is daur-e-saḳht meñ
guudā ho jis tarah se kisī ustuḳhvāñ ke biich
ḳhud bāġhbāñ ke husn-e-amal kā futūr hai
bhaḌkī huī sī aag jo hai gulsitāñ ke biich
jo kar sake na sar ye zamīn-e-nizām bhī
vo DhūñDte haiñ ālam-e-nau āsmāñ ke biich
chakkar sa chal raha hai zamin-o-zaman ke bich
insan ji raha hai yaqin-o-guman ke bich
kya jaane kya ho rang shurua-o-aKHir ka
aata hai mera nam teri dastan ke bich
yunhi mera wajud hai is daur-e-saKHt mein
guda ho jis tarah se kisi ustuKHwan ke bich
KHud baghban ke husn-e-amal ka futur hai
bhaDki hui si aag jo hai gulsitan ke bich
jo kar sake na sar ye zamin-e-nizam bhi
wo DhunDte hain aalam-e-nau aasman ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.