chal aa ki dahr se kizb-o-riya kashid karen
chal aa ki dahr se kizb-o-riya kashid karen
Syed Zamin Abbas Kazmi
MORE BYSyed Zamin Abbas Kazmi
chal aa ki dahr se kizb-o-riyā kashīd kareñ
kisī ke jurm se apnī sazā kashīd kareñ
chal aa ki ham bhī chaleñ paar is adam ke kahīñ
ḳhalā ko ḳhaam banā.eñ havā kashīd kareñ
ham aise ḳhāna-ba-doshoñ kī kyā hadeñ hoñgī
jo vaqt zehn meñ rakh kar jagah kashīd kareñ
chal apne chhoTe se ġham ko baḌhāvā dete raheñ
phir us ke pahlū se karb-o-balā kashīd kareñ
hameñ samajhne parakhne meñ log lag to ga.e
nahīñ hai vasf koī bhī to kyā kashīd kareñ
chal aa bashar ko kisī vasvase meñ jhoñk deñ aur
usī se ḳhauf banā.eñ ḳhudā kashīd kareñ
chal aa ki dahr se kizb-o-riya kashid karen
kisi ke jurm se apni saza kashid karen
chal aa ki hum bhi chalen par is adam ke kahin
KHala ko KHam banaen hawa kashid karen
hum aise KHana-ba-doshon ki kya haden hongi
jo waqt zehn mein rakh kar jagah kashid karen
chal apne chhoTe se gham ko baDhawa dete rahen
phir us ke pahlu se karb-o-bala kashid karen
hamein samajhne parakhne mein log lag to gae
nahin hai wasf koi bhi to kya kashid karen
chal aa bashar ko kisi waswase mein jhonk den aur
usi se KHauf banaen KHuda kashid karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.