chal dil uski gali mein ro aawen
chal dil us kī galī meñ ro aaveñ
kuchh to dil kā ġhubār dho aaveñ
go abhī aa.e haiñ ye hai jī meñ
phir bhī Tuk us ke paas ho aaveñ
dil ko khoyā hai kal jahāñ jā kar
jī meñ hai aaj jī bhī kho aaveñ
pand-go merā maġhz khāne ko
kaash aaveñ to ek do aaveñ
ham to bātoñ meñ raam kar leñ unheñ
ye butāñ apne paas jo aaveñ
go ḳhafā hī huā kare par ham
ik zarā us ko dekh to aaveñ
jab ham aaveñ to apne dil meñ ruko
aur na aaveñ to phir kaho aaveñ
baaz aa.e ham aise aane se
haañ jo vāqif na hoveñ so aaveñ
kab talak us galī meñ roz 'hasan'
sub.h ko jāveñ shaam ko aaveñ
chal dil us ki gali mein ro aawen
kuchh to dil ka ghubar dho aawen
go abhi aae hain ye hai ji mein
phir bhi Tuk us ke pas ho aawen
dil ko khoya hai kal jahan ja kar
ji mein hai aaj ji bhi kho aawen
pand-go mera maghz khane ko
kash aawen to ek do aawen
hum to baaton mein ram kar len unhen
ye butan apne pas jo aawen
go KHafa hi hua kare par hum
ek zara us ko dekh to aawen
jab hum aawen to apne dil mein ruko
aur na aawen to phir kaho aawen
baz aae hum aise aane se
han jo waqif na howen so aawen
kab talak us gali mein roz 'hasan'
subh ko jawen sham ko aawen
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.