chal KHud ko laTka kar dekhen phande se
chal ḳhud ko laTkā kar dekheñ phande se
vahm mujhe aksar aate haiñ gande se
baar uThānā sab ke bas kī baat nahīñ
kaḌ kaḌ āvāzeñ aatī haiñ kañdhe se
ham bhī lāshoñ ke is Dher kā hissa haiñ
kis ne paar kiye ambār buland aise
bhūke peT ko kāTeñge jab kāteñge
jīvan pahiya kab chaltā hai chande se
paḌh kar phir se mar jaate haiñ zinda log
qabroñ ko bheje jaate haiñ sandese
phūTe peḌ kī shah-rag se zañgārī dhaar
kaam chalāo aare se yā rande se
donoñ haiñ masrūf bahut mobile meñ
banda ab kyā baat karegā bande se
bas tan ko apnāte haiñ Thukrāte haiñ
ham ko kyā lenā dhan se aur dhande se
chal KHud ko laTka kar dekhen phande se
wahm mujhe aksar aate hain gande se
bar uThana sab ke bas ki baat nahin
kaD kaD aawazen aati hain kandhe se
hum bhi lashon ke is Dher ka hissa hain
kis ne par kiye ambar buland aise
bhuke peT ko kaTenge jab katenge
jiwan pahiya kab chalta hai chande se
paDh kar phir se mar jate hain zinda log
qabron ko bheje jate hain sandese
phuTe peD ki shah-rag se zangari dhaar
kaam chalao aare se ya rande se
donon hain masruf bahut mobile mein
banda ab kya baat karega bande se
bas tan ko apnate hain Thukraate hain
hum ko kya lena dhan se aur dhande se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.