chal rahe hain wo aisi shan se aaj
chal rahe haiñ vo aisī shaan se aaj
jaise aa.e hoñ āsmān se aaj
āstīñ meñ jo un kī thā kal tak
tiir niklā hai vo kamān se aaj
sham.a ke ird-gard parvāne
haath dho.eñ na apnī jaan se aaj
apnā sab kuchh luTā ke hosh aayā
shaiḳh-jī mil rahe haiñ ḳhaan se aaj
gul khilā.enge kyā abhī kuchh aur
lag rahe haiñ vo mehrbān se aaj
kar rahe haiñ jo vāda-e-fardā
phir ga.e apnī vo zabān se aaj
na miTā de vo un kā nām-o-nishāñ
aah niklī hai jo zabān se aaj
bhuul baiThe haiñ apnī jo auqāt
gir paḌeñ vo na āsmān se aaj
kah rahe haiñ vo aa ke 'barqī' se
jaao niklo mire makān se aaj
chal rahe hain wo aisi shan se aaj
jaise aae hon aasman se aaj
aastin mein jo un ki tha kal tak
tir nikla hai wo kaman se aaj
shama ke ird-gard parwane
hath dhoen na apni jaan se aaj
apna sab kuchh luTa ke hosh aaya
shaiKH-ji mil rahe hain KHan se aaj
gul khilaenge kya abhi kuchh aur
lag rahe hain wo mehrban se aaj
kar rahe hain jo wada-e-farda
phir gae apni wo zaban se aaj
na miTa de wo un ka nam-o-nishan
aah nikli hai jo zaban se aaj
bhul baiThe hain apni jo auqat
gir paDen wo na aasman se aaj
kah rahe hain wo aa ke 'barqi' se
jao niklo mere makan se aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.