chal saki kuchh na rah-e-ishq mein tadbir meri
chal saki kuchh na rah-e-ishq mein tadbir meri
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
chal sakī kuchh na rah-e-ishq meñ tadbīr mirī
rang laatī rahī har gaam pe taqdīr mirī
aa.ina kyā hai faqat hāmil-e-aks-e-jalva
varna har zarra-e-ālam pe hai tasvīr mirī
raaz se apne maiñ āgāh nahīñ huuñ phir bhī
jāntā huuñ ki ye kaunain hai tafsīr mirī
ātish-e-ishq kā ik sho.ala-e-be-bāk huuñ maiñ
āb-o-gil se nazar aatī nahīñ ta.amīr mirī
āfrīñ jalva-e-bebāk ḳhushā faiz-e-jamāl
merī nazroñ ko dikhā.ī ga.ī tasvīr mirī
ye nazar ko hai gila shauq ne Daale parde
shauq kahtā hai nazar ban ga.ī zanjīr mirī
ab to maiñ huuñ rasan-o-dār kī manzil hai bashīr
be-ḳhudī jurm mirā ishq hai taqsīr mirī
chal saki kuchh na rah-e-ishq mein tadbir meri
rang lati rahi har gam pe taqdir meri
aaina kya hai faqat hamil-e-aks-e-jalwa
warna har zarra-e-alam pe hai taswir meri
raaz se apne main aagah nahin hun phir bhi
jaanta hun ki ye kaunain hai tafsir meri
aatish-e-ishq ka ek shoala-e-be-bak hun main
aab-o-gil se nazar aati nahin tamir meri
aafrin jalwa-e-bebak KHusha faiz-e-jamal
meri nazron ko dikhai gai taswir meri
ye nazar ko hai gila shauq ne Dale parde
shauq kahta hai nazar ban gai zanjir meri
ab to main hun rasan-o-dar ki manzil hai bashir
be-KHudi jurm mera ishq hai taqsir meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.