chala hawas ke jahanon ki sair karta hua
chalā havas ke jahānoñ kī sair kartā huā
maiñ ḳhālī haath ḳhazānoñ kī sair kartā huā
pukārtā hai koī Dūbtā huā saayā
larazte ā.īna-ḳhānoñ kī sair kartā huā
bahut udaas lagā aaj zard-rū mahtāb
galī ke band makānoñ kī sair kartā huā
maiñ ḳhud ko apnī hathelī pe le ke phirtā rahā
ḳhatar ke surḳh nishānoñ kī sair kartā huā
kalām kaisā chakā-chauñd ho gayā maiñ to
qadīm lahjoñ zabānoñ kī sair kartā huā
ziyāda duur nahīñ huuñ tire zamāne se
maiñ aa milūñgā zamānoñ kī sair kartā huā
chala hawas ke jahanon ki sair karta hua
main KHali hath KHazanon ki sair karta hua
pukarta hai koi Dubta hua saya
larazte aaina-KHanon ki sair karta hua
bahut udas laga aaj zard-ru mahtab
gali ke band makanon ki sair karta hua
main KHud ko apni hatheli pe le ke phirta raha
KHatar ke surKH nishanon ki sair karta hua
kalam kaisa chaka-chaund ho gaya main to
qadim lahjon zabanon ki sair karta hua
ziyaada dur nahin hun tere zamane se
main aa milunga zamanon ki sair karta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.