chalā huuñ apnī manzil kī taraf to shādmāñ ho kar
kahīñ māyūsī-e-dil ho na rahzan pāsbāñ ho kar
hamārī dāstāñ ho kar tumhārī dāstāñ ho kar
kahāñ pahuñchī mohabbat kārvāñ-dar-kārvāñ ho kar
mire zauq-e-ubūdiyyat kī takmīl ai ma.āz-allāh
jabīñ in.ām-e-sajda de rahī hai āstāñ ho kar
ḳhud apne soz se jalnā to har ik sham' ko aayā
vo parvāna jo ḳhākistar hai soz-e-dīgarāñ ho kar
kalī kā muskurānā kah rahā hai dāstāñ un kī
ḳhizāñ jab aa.ī ham-rāh-e-bahār-e-gulsitāñ ho kar
hameñ ujḌe nasheman kī jab apne yaad aatī hai
qafas kī tīliyāñ jaltī haiñ shāḳh-e-āshiyāñ ho kar
'figār' āh-o-fuġhāñ se kam na thī 'azmat mire ġham kī
magar kuchh aur rutba baḌh gayā soz-e-nihāñ ho kar
chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar
kahin mayusi-e-dil ho na rahzan pasban ho kar
hamari dastan ho kar tumhaari dastan ho kar
kahan pahunchi mohabbat karwan-dar-karwan ho kar
mere zauq-e-ubudiyyat ki takmil ai maaz-allah
jabin inam-e-sajda de rahi hai aastan ho kar
KHud apne soz se jalna to har ek sham' ko aaya
wo parwana jo KHakistar hai soz-e-digaran ho kar
kali ka muskurana kah raha hai dastan un ki
KHizan jab aai ham-rah-e-bahaar-e-gulsitan ho kar
hamein ujDe nasheman ki jab apne yaad aati hai
qafas ki tiliyan jalti hain shaKH-e-ashiyan ho kar
'figar' aah-o-fughan se kam na thi 'azmat mere gham ki
magar kuchh aur rutba baDh gaya soz-e-nihan ho kar
Source :
- Book : Harf-o-nava (Pg. 66)
- Author : umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
-
Publication : Figaar Unnavi
(2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.