chalae kis qadar banjar zaminon mein bhi hal humne
chalae kis qadar banjar zaminon mein bhi hal humne
Hameed Dilkash Khandwi
MORE BYHameed Dilkash Khandwi
chalā.e kis qadar banjar zamīnoñ meñ bhī hal ham ne
magar qīmat to dekho aaj tak paayā na phal ham ne
nahīñ hone diyā dushman ko maqsad meñ saphal ham ne
nikālā achchhe achchhe sūrmāoñ tak kā bal ham ne
samajh meñ aaj aa.ī daad dene ghar pe aa.e the
ik arsa ho gayā un ko sunā.ī thī hazal ham ne
tabī.at mauj par aa.ī to bas ġhota lagā Daalā
nadī-nālā nahīñ dekhā na kuchh mauqa.a-mahal ham ne
dabā kar dum vo ulTe paañv bhāgā aur andar ko
adū se jab kahā lalkār kar bāhar nikal ham ne
sañbhālā chūlhā chakkī aur barsoñ phāliyāñ dhoīñ
magar Daalā nahīñ ik din bhī peshānī pe bal ham ne
vo ham ko jhoñpḌī meñ chain se rahne nahīñ dete
vahī jin ke liye banvā diye dil-kash mahal ham ne
chalae kis qadar banjar zaminon mein bhi hal hum ne
magar qimat to dekho aaj tak paya na phal hum ne
nahin hone diya dushman ko maqsad mein saphal hum ne
nikala achchhe achchhe surmaon tak ka bal hum ne
samajh mein aaj aai dad dene ghar pe aae the
ek arsa ho gaya un ko sunai thi hazal hum ne
tabiat mauj par aai to bas ghota laga Dala
nadi-nala nahin dekha na kuchh mauqa-mahal hum ne
daba kar dum wo ulTe panw bhaga aur andar ko
adu se jab kaha lalkar kar bahar nikal hum ne
sanbhaala chulha chakki aur barson phaaliyan dhoin
magar Dala nahin ek din bhi peshani pe bal hum ne
wo hum ko jhonpDi mein chain se rahne nahin dete
wahi jin ke liye banwa diye dil-kash mahal hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.