chalae tir hain kitne jawab deta ja
chalā.e tiir haiñ kitne javāb detā jā
hamāre zaḳhmoñ kā kuchh to hisāb detā jā
jo aa gayā hai to ab dil kī tāzgī ke liye
lahū meñ Duube hue kuchh gulāb detā jā
mujhe yaqīn hai dariyā maiñ DhūñDh hī lūñgā
tū merī tishna-labī ko sarāb detā jā
na dekh mere aziyyat-navāz lamhoñ ko
mire nasīb kā mujh ko azaab detā jā
jo tū hai sāqi-e-mahfil to rind ham bhī haiñ
hamāre hisse kī ham ko sharāb detā jā
'umar' batānā hai nasloñ ko zillatoñ kā sabab
tū apnī bazm ke chang-o-rabāb detā jā
chalae tir hain kitne jawab deta ja
hamare zaKHmon ka kuchh to hisab deta ja
jo aa gaya hai to ab dil ki tazgi ke liye
lahu mein Dube hue kuchh gulab deta ja
mujhe yaqin hai dariya main DhunDh hi lunga
tu meri tishna-labi ko sarab deta ja
na dekh mere aziyyat-nawaz lamhon ko
mere nasib ka mujh ko azab deta ja
jo tu hai saqi-e-mahfil to rind hum bhi hain
hamare hisse ki hum ko sharab deta ja
'umar' batana hai naslon ko zillaton ka sabab
tu apni bazm ke chang-o-rabab deta ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.