chale bhi aao ki dil ko zara qarar nahin
chale bhī aao ki dil ko zarā qarār nahīñ
ḳhudā gavāh ki ab tāb-e-intizār nahīñ
nahīñ ki dil pe mohabbat meñ iḳhtiyār nahīñ
nahīñ nahīñ mujhe fikr-e-ma.āl-e-kār nahīñ
ba-qadr-e-josh-e-junūñ chaak ho garebāñ kyā
bahār bhī to ba-andāza-e-bahār nahīñ
ajiib haal hai is daur-e-zar-garī meñ kahīñ
sivā.e dil koī dard-āshnā-e-yār nahīñ
ab aur is ke sivā ehtiyāt-e-ishq ho kyā
ki terā ġham mirī sūrat se āshkār nahīñ
na jaane kaun sā aalam hai ye mohabbat kā
hameñ ḳhayāl hai apnā ḳhayāl-e-yār nahīñ
nigāh-e-yār ne pahuñchā diyā kahāñ 'aḳhtar'
ki ham ko apnī nigāhoñ kā e.atibār nahīñ
chale bhi aao ki dil ko zara qarar nahin
KHuda gawah ki ab tab-e-intizar nahin
nahin ki dil pe mohabbat mein iKHtiyar nahin
nahin nahin mujhe fikr-e-maal-e-kar nahin
ba-qadr-e-josh-e-junun chaak ho gareban kya
bahaar bhi to ba-andaza-e-bahaar nahin
ajib haal hai is daur-e-zar-gari mein kahin
siwae dil koi dard-ashna-e-yar nahin
ab aur is ke siwa ehtiyat-e-ishq ho kya
ki tera gham meri surat se aashkar nahin
na jaane kaun sa aalam hai ye mohabbat ka
hamein KHayal hai apna KHayal-e-yar nahin
nigah-e-yar ne pahuncha diya kahan 'aKHtar'
ki hum ko apni nigahon ka eatibar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.