chale hain kaise wo muTThi mein dil chhupae hue
chale hain kaise wo muTThi mein dil chhupae hue
Suraj Narayan Mehr
MORE BYSuraj Narayan Mehr
chale haiñ kaise vo muTThī meñ dil chhupā.e hue
nazar churā.e hue aañkh ko bachā.e hue
kisī kī shoḳhī-e-raftār ke miTā.e hue
uThe jo hashr ke din bhī to kasmasā.e hue
nahīñ hai manzil-e-maqsūd duur ai sālik
qasam ḳhudā kī chalā chal qadam baḌhā.e hue
hayā bhī naaz hai lekin na is qadar zālim
ki ḳhvāb meñ bhī jo aa.e to muñh chhupā.e hue
javāb shikva-e-jaur-o-jafā ke azbar haiñ
sabaq ravāñ haiñ unheñ ġhair ke paḌhāye hue
na jaa.eñ bazm-e-adū meñ ki pās-e-tamkīñ hai
havā-e-dīd na le jaa.e gar uḌaa.e hue
samajh liyā thā ga.e aap dīn-o-duniyā se
sunā jo hazrat-e-dil haiñ kisī pe aa.e hue
tumhāre kūche meñ aġhyār to nahīñ aate
kisī ke naqsh-e-qadam se haiñ kuchh miTā.e hue
rah-e-talāsh meñ aaya na chain ham ko 'mehr'
ki ḳhār-e-rāh the talvoñ pe ḳhaar khaa.e hue
chale hain kaise wo muTThi mein dil chhupae hue
nazar churae hue aankh ko bachae hue
kisi ki shoKHi-e-raftar ke miTae hue
uThe jo hashr ke din bhi to kasmasae hue
nahin hai manzil-e-maqsud dur ai salik
qasam KHuda ki chala chal qadam baDhae hue
haya bhi naz hai lekin na is qadar zalim
ki KHwab mein bhi jo aae to munh chhupae hue
jawab shikwa-e-jaur-o-jafa ke azbar hain
sabaq rawan hain unhen ghair ke paDhaye hue
na jaen bazm-e-adu mein ki pas-e-tamkin hai
hawa-e-did na le jae gar uDae hue
samajh liya tha gae aap din-o-duniya se
suna jo hazrat-e-dil hain kisi pe aae hue
tumhaare kuche mein aghyar to nahin aate
kisi ke naqsh-e-qadam se hain kuchh miTae hue
rah-e-talash mein aaya na chain hum ko 'mehr'
ki KHar-e-rah the talwon pe KHar khae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.