chale jaana magar sun lo mere dil mein ye hasrat hai
chale jaanā magar sun lo mire dil meñ ye hasrat hai
faqat ik baar hī kah do hameñ tum se mohabbat hai
ye mausam bhī suhānā hai tirī yādoñ ke mele haiñ
tire bin ek bhī lamha bitā lenā qayāmat hai
burā kahtā hai mujh ko ye zamāna maiñ ne maanā hai
na jaane kyuuñ use tujh se nahīñ koī shikāyat hai
achānak yuuñ jo mujh se bad-gumāñ tū ho gayā hamdam
mujhe lagtā hai ye mere raqīboñ kī sharārat hai
nahīñ koī ḳhatā merī vo phir bhī zaḳhm dete haiñ
maiñ huuñ bīmar-e-ulfat bas davā merī mohabbat hai
rahe kab tak bhalā mahtāb tanhā.ī ke aalam meñ
ki ab to aa bhī jā us ko faqat terī zarūrat hai
chale jaana magar sun lo mere dil mein ye hasrat hai
faqat ek bar hi kah do hamein tum se mohabbat hai
ye mausam bhi suhana hai teri yaadon ke mele hain
tere bin ek bhi lamha bita lena qayamat hai
bura kahta hai mujh ko ye zamana main ne mana hai
na jaane kyun use tujh se nahin koi shikayat hai
achanak yun jo mujh se bad-guman tu ho gaya hamdam
mujhe lagta hai ye mere raqibon ki shararat hai
nahin koi KHata meri wo phir bhi zaKHm dete hain
main hun bimar-e-ulfat bas dawa meri mohabbat hai
rahe kab tak bhala mahtab tanhai ke aalam mein
ki ab to aa bhi ja us ko faqat teri zarurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.