chale le ke sar par gunahon ki gaThri
chale le ke sar par gunāhoñ kī gaThrī
safar meñ ye hai rū-siyāhoñ kī gaThrī
paḌī roz-e-mahshar vahīñ barq aa kar
jahāñ thī tire dād-ḳhvāhoñ kī gaThrī
musāfir maiñ us dasht kā huuñ ki jis meñ
luTī kitne gum-karda-rāhoñ kī gaThrī
jahāñ suus ne bahr se sar nikālā
maiñ samjhā hai kashtī tabāhoñ kī gaThrī
kulāh-e-zarī māh-e-nau ne uḌā lī
khulī thī kahīñ kaj-kulāhoñ kī gaThrī
ham un sarqa vāloñ meñ ai 'mus.hafī' haiñ
churāte haiñ jo bādshāhoñ kī gaThrī
chale le ke sar par gunahon ki gaThri
safar mein ye hai ru-siyahon ki gaThri
paDi roz-e-mahshar wahin barq aa kar
jahan thi tere dad-KHwahon ki gaThri
musafir main us dasht ka hun ki jis mein
luTi kitne gum-karda-rahon ki gaThri
jahan sus ne bahr se sar nikala
main samjha hai kashti tabahon ki gaThri
kulah-e-zari mah-e-nau ne uDa li
khuli thi kahin kaj-kulahon ki gaThri
hum un sarqa walon mein ai 'mushafi' hain
churaate hain jo baadshahon ki gaThri
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 288)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.