chale to kaT hi jaega safar aahista aahista
chale to kaT hī jā.egā safar āhista āhista
ham us ke paas jaate haiñ magar āhista āhista
abhī tāroñ se khelo chāñd kī kirnoñ se iThlāo
milegī us ke chehre kī sahar āhista āhista
darīchoñ ko to dekho chilmanoñ ke raaz to samjho
uTheñge parda-hā-e-bām-o-dar āhista āhista
zamāne bhar kī kaifiyat simaT aa.egī sāġhar meñ
piyo un añkhḌiyoñ ke naam par āhista āhista
yūñhī ik roz apne dil kā qissa bhī sunā denā
ḳhitāb āhista āhista nazar āhista āhista
chale to kaT hi jaega safar aahista aahista
hum us ke pas jate hain magar aahista aahista
abhi taron se khelo chand ki kirnon se iThlao
milegi us ke chehre ki sahar aahista aahista
darichon ko to dekho chilmanon ke raaz to samjho
uThenge parda-ha-e-baam-o-dar aahista aahista
zamane bhar ki kaifiyat simaT aaegi saghar mein
piyo un ankhDiyon ke nam par aahista aahista
yunhi ek roz apne dil ka qissa bhi suna dena
KHitab aahista aahista nazar aahista aahista
- Book : girebaa.n (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.