chalenge thoDa dam le kar zara suraj nikalne do
chaleñge thoḌā dam le kar zarā sūraj nikalne do
badalne do zarā manzar zarā sūraj nikalne do
saf-e-mātam bichhī hai qatl-e-shab par bazm-e-anjum meñ
ki shāyad ho bapā mahshar zarā sūraj nikalne do
añdhere chañd lamhoñ meñ bisāt apnī uThā leñge
bahegā nuur saḌkoñ par zarā sūraj nikalne do
hameñ ta.abīr bhī to dekhnī hai apne ḳhvāboñ kī
mire hamdam mire dilbar zarā sūraj nikalne do
sañpole tīrgī ke sarsarāte phir rahe hoñge
abhī har samt saḌkoñ par zarā sūraj nikalne do
kahāñ haiñ vo na.ī sub.hoñ kī ta.abīroñ ke saudā-gar
kahā karte the jo aksar zarā sūraj nikalne do
abhī khul jā.egā 'rāhī' bhalā kyā hai burā kyā hai
vo rahzan hai ki hai rahbar zarā sūraj nikalne do
chalenge thoDa dam le kar zara suraj nikalne do
badalne do zara manzar zara suraj nikalne do
saf-e-matam bichhi hai qatl-e-shab par bazm-e-anjum mein
ki shayad ho bapa mahshar zara suraj nikalne do
andhere chand lamhon mein bisat apni uTha lenge
bahega nur saDkon par zara suraj nikalne do
hamein tabir bhi to dekhni hai apne KHwabon ki
mere hamdam mere dilbar zara suraj nikalne do
sanpole tirgi ke sarsaraate phir rahe honge
abhi har samt saDkon par zara suraj nikalne do
kahan hain wo nai subhon ki tabiron ke sauda-gar
kaha karte the jo aksar zara suraj nikalne do
abhi khul jaega 'rahi' bhala kya hai bura kya hai
wo rahzan hai ki hai rahbar zara suraj nikalne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.