chali hai aaj falak par meri fughan ki baat
chalī hai aaj falak par mirī fuġhāñ kī baat
ga.ī kahāñ se kahāñ tak ġham-e-nihāñ kī baat
kalī kalī meñ na paḌ jaa.e jaan to kahnā
chaman meñ chheḌ ke dekho mirī zabāñ kī baat
vahī qafas kī zabāñ-bandiyāñ yahāñ bhī haiñ
ham āshiyāñ meñ kareñ kaise āshiyāñ kī baat
mirī jabīñ ke fasāne ko bhūlne vaale
jo maiñ bhī bhuul gayā tere āstāñ kī baat
unhīñ se un ke sitam kī kareñ shikāyat kyā
ham āsmāñ se kareñ jaur-e-āsmāñ kī baat
adā-e-jaur ko niiñd aa ga.ī magar 'muslim'
huī na ḳhatm abhī mere imtihāñ kī baat
chali hai aaj falak par meri fughan ki baat
gai kahan se kahan tak gham-e-nihan ki baat
kali kali mein na paD jae jaan to kahna
chaman mein chheD ke dekho meri zaban ki baat
wahi qafas ki zaban-bandiyan yahan bhi hain
hum aashiyan mein karen kaise aashiyan ki baat
meri jabin ke fasane ko bhulne wale
jo main bhi bhul gaya tere aastan ki baat
unhin se un ke sitam ki karen shikayat kya
hum aasman se karen jaur-e-asman ki baat
ada-e-jaur ko nind aa gai magar 'muslim'
hui na KHatm abhi mere imtihan ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.