chali KHirad ki na kuchh aagahi ne sath diya
chalī ḳhirad kī na kuchh āgahī ne saath diyā
rah-e-junūñ meñ faqat be-ḳhudī ne saath diyā
shab-e-firāq kī zulmat meñ ġham ke māroñ kā
tire ḳhayāl kī tābindagī ne saath diyā
tamām raat tarāshe hasīñ hasīñ paikar
tamām raat fan-e-āzarī ne saath diyā
agar zabāñ se bayāñ hāl-e-ġham na ho paayā
huzūr-e-dost mirī ḳhāmushī ne saath diyā
gurez aur tire dāman se vo to ḳhair huī
mire ḳhulūs kī pākīzgī ne saath diyā
ham aur aap se iz.hār-e-ārzū karte
ye kahiye shauq kī vāraftagī ne saath diyā
chali KHirad ki na kuchh aagahi ne sath diya
rah-e-junun mein faqat be-KHudi ne sath diya
shab-e-firaq ki zulmat mein gham ke maron ka
tere KHayal ki tabindagi ne sath diya
tamam raat tarashe hasin hasin paikar
tamam raat fan-e-azari ne sath diya
agar zaban se bayan haal-e-gham na ho paya
huzur-e-dost meri KHamushi ne sath diya
gurez aur tere daman se wo to KHair hui
mere KHulus ki pakizgi ne sath diya
hum aur aap se izhaar-e-arzu karte
ye kahiye shauq ki waraftagi ne sath diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.