chaliye ki rah mein hain shajar saya-dar bhi
chaliye kī raah meñ haiñ shajar sāya-dār bhī
dete haiñ daad ābla-pā.ī kī ḳhaar bhī
nākāmiyoñ ke baa'd bhī rukte nahīñ qadam
majbūriyoñ meñ rakhte haiñ ham iḳhtiyār bhī
insān Thahrā sho.ala-o-shabnam kā ham-mizāj
jannat kī aarzū hai gunāhoñ se pyaar bhī
rātoñ kā silsila ho ki din kī tajalliyāñ
pāband-e-chashm-e-yār haiñ lail-o-nahār bhī
rahne do apnā haath abhī mere haath meñ
Dartā huuñ kho na duuñ kahīñ dil kā qarār bhī
va.ade pe us kī kitnī ḳhushī hai na pūchhiye
aatā nahīñ hai dil ko magar e.atibār bhī
kah de zamāna kuchh bhī mujhe ġham na kar 'nazīr'
lagtā nahīñ hai jab ki mujhe nāgavār bhī
chaliye ki rah mein hain shajar saya-dar bhi
dete hain dad aabla-pai ki KHar bhi
nakaamiyon ke ba'd bhi rukte nahin qadam
majburiyon mein rakhte hain hum iKHtiyar bhi
insan Thahra shoala-o-shabnam ka ham-mizaj
jannat ki aarzu hai gunahon se pyar bhi
raaton ka silsila ho ki din ki tajalliyan
paband-e-chashm-e-yar hain lail-o-nahaar bhi
rahne do apna hath abhi mere hath mein
Darta hun kho na dun kahin dil ka qarar bhi
wade pe us ki kitni KHushi hai na puchhiye
aata nahin hai dil ko magar eatibar bhi
kah de zamana kuchh bhi mujhe gham na kar 'nazir'
lagta nahin hai jab ki mujhe nagawar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.