chaliye mushkil hai agar jina to mar jate hain
chaliye mushkil hai agar jiinā to mar jaate haiñ
bojh ham ruuh pe apnī haiñ utar jaate haiñ
ḳhud ko ā.īna banā rakkhā hai jab se ham ne
us taraf dekhne kyā ahl-e-nazar jaate haiñ
bā-vafā hoñ to mire saath vo chal kar dekheñ
rāh-e-īsār se ham kaise guzar jaate haiñ
lāzmī dil ke liye dīda-e-bīnā karnā
tere ehsās mire dil meñ utar jaate haiñ
ham anā-gīr haiñ ḳhud apnī tamannāoñ ke
kaun pūchhe unheñ jaa.eñ vo jidhar jaate haiñ
yaar 'irshād' kahāñ chal diye manzil bhī nahīñ
pūchh lete haiñ abhī ḳhud se kidhar jaate haiñ
chaliye mushkil hai agar jina to mar jate hain
bojh hum ruh pe apni hain utar jate hain
KHud ko aaina bana rakkha hai jab se hum ne
us taraf dekhne kya ahl-e-nazar jate hain
ba-wafa hon to mere sath wo chal kar dekhen
rah-e-isar se hum kaise guzar jate hain
lazmi dil ke liye dida-e-bina karna
tere ehsas mere dil mein utar jate hain
hum ana-gir hain KHud apni tamannaon ke
kaun puchhe unhen jaen wo jidhar jate hain
yar 'irshad' kahan chal diye manzil bhi nahin
puchh lete hain abhi KHud se kidhar jate hain
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 208)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.