chalna aasan nahin yahan pyare
chalnā āsāñ nahīñ yahāñ pyāre
har qadam par hai imtihāñ pyāre
apnā chehra hī kah uThā sab kuchh
ab rahā kaun rāz-dāñ pyāre
kis ke pīchhe yahāñ chale koī
haiñ sabhī mere kārvāñ pyāre
jā ke pūchho ġharīb bachchoñ se
kaisī hotī haiñ roTiyāñ pyāre
tere kahne se jo bajā.ī jaa.eñ
kyā karūñ aisī tāliyāñ pyāre
yuuñ to kahne ko darmiyāñ hai sabhī
par nahīñ koī darmiyāñ pyāre
mujh meñ kuchh ḳhūbiyāñ bhī haiñ 'andāz'
sirf mat dekh ḳhāmiyāñ piyāre
chalna aasan nahin yahan pyare
har qadam par hai imtihan pyare
apna chehra hi kah uTha sab kuchh
ab raha kaun raaz-dan pyare
kis ke pichhe yahan chale koi
hain sabhi mere karwan pyare
ja ke puchho gharib bachchon se
kaisi hoti hain roTiyan pyare
tere kahne se jo bajai jaen
kya karun aisi taliyan pyare
yun to kahne ko darmiyan hai sabhi
par nahin koi darmiyan pyare
mujh mein kuchh KHubiyan bhi hain 'andaz'
sirf mat dekh KHamiyan piyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.