chalne ka hunar kab aata hai jab tak koi Thokar khao nahin
chalne kā hunar kab aatā hai jab tak koī Thokar khaao nahīñ
hālāt badalte rahte haiñ hālāt se tum ghabrāo nahīñ
sapnoñ ke rain-basere meñ sadiyoñ se baḌā sannāTā hai
āñkhoñ meñ niiñd sulagtī hai ab ḳhvāb koī dikhlāo nahīñ
ye baazī pyaar kī baazī hai yahāñ sab kuchh daañv pe lagtā hai
jiito to kabhī itrāo nahīñ haaro to kabhī pachhtāo nahīñ
bojhal palkeñ suune raste vīrān havelī sannāTā
ab koī nahīñ aane vaalā chaukhaT pe charāġh jalāo nahīñ
Thokar se kabhī ḳhud apne hī talve zaḳhmī ho jaate haiñ
patthar to TuuT bhī sakte haiñ shīshe se magar Takrāo nahīñ
ḳhud apnī tabāhī par hañsnā har shaḳhs ke bas kī baat nahīñ
dīvāna hai jo hañs letā hai dīvāne ko samjhāo nahīñ
gāgar ke sāgar meñ aksar Duubā hai ġhurūr pahāḌoñ kā
tum apne dil par rahm karo panghaT pe akele jaao nahīñ
ye rishte-nāte dharm-karm pe pāp-punnya ham kyā jāneñ
ham aisī Dagar ke jogī haiñ logo ham ko bahkāo nahīñ
hamdardī kaun jatā.egā duniyā ko to hañsnā aatā hai
is TuuTe hue dil kā qissa duniyā vāloñ ko sunāo nahīñ
chalne ka hunar kab aata hai jab tak koi Thokar khao nahin
haalat badalte rahte hain haalat se tum ghabrao nahin
sapnon ke rain-basere mein sadiyon se baDa sannaTa hai
aankhon mein nind sulagti hai ab KHwab koi dikhlao nahin
ye bazi pyar ki bazi hai yahan sab kuchh danw pe lagta hai
jito to kabhi itrao nahin haaro to kabhi pachhtao nahin
bojhal palken sune raste viran haweli sannaTa
ab koi nahin aane wala chaukhaT pe charagh jalao nahin
Thokar se kabhi KHud apne hi talwe zaKHmi ho jate hain
patthar to TuT bhi sakte hain shishe se magar Takrao nahin
KHud apni tabahi par hansna har shaKHs ke bas ki baat nahin
diwana hai jo hans leta hai diwane ko samjhao nahin
gagar ke sagar mein aksar Duba hai ghurur pahaDon ka
tum apne dil par rahm karo panghaT pe akele jao nahin
ye rishte-nate dharm-karm pe pap-punnya hum kya jaanen
hum aisi Dagar ke jogi hain logo hum ko bahkao nahin
hamdardi kaun jataega duniya ko to hansna aata hai
is TuTe hue dil ka qissa duniya walon ko sunao nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.